Wazu Karne Ka Tarika Quran aur hadees ke mutabiq
Teller: Md Kaunain Siddiqui
-------------------------------------------------------------------
1️⃣ Niyat aur Bismillah:
Pehle dil me niyat karain ke main paak hone ke liye wazu kar raha hoon/kar rhi hu. Phir “Bismillah” padhain.
2️⃣ Haath dhona:
Dono haath kalai tak 3 martaba dhoyain..
3️⃣ Miswak karna (agar ho to):
Agar miswak ho to daant saaf karain warna koi baat nahi sirf right hand ki ungli se daant mal lain.
4️⃣ Munh me paani bhar ke gargar karna:
Munh me 3 martaba paani dal kar achhi tarah gargara karain take pura munh achhe se saaf ho jaye..
5️⃣ Naak me paani chadhana:
3 martaba naak me paani chadao aur naak ko left hand ki chhoti ungli se saaf karain.
6️⃣ Chehra dhona:
Mathe se thodi tak aur ek kaan se doosre kaan tak chehra 3 martaba dhoyain.
7️⃣ Dono haath kohniyon tak dhona:
Pehle daayan haath kohni tak 3 martaba dhoyain, phir baayan haath bhi usi tarah.
8️⃣ Sar ka masah karna:
Dono gile haath se poore sir ka ek martaba masah karain, masah ho jayega.
(Waise aur ek tariqa hai wah thoda sa mushkil hai)
9️⃣ Kaanon ka masah:
Dono haath ki chhoti ungli se kaanon ka bhi masah karo – angutha bahar aur ungli andar.
🔟 Pair dhona:
Pehle daayan pair takhne tak 3 martaba dhoyain, phir baayan pair bhi usi tarah.
9️⃣ Kaanon ka masah:
Dono haath ki chhoti ungli se kaanon ka bhi masah karo – angutha bahar aur ungli andar.
🔟 Pair dhona:
Pehle daayan pair takhne tak 3 martaba dhoyain, phir baayan pair bhi usi tarah.
12 Wazu ke baad yeh duwa padhain:
اللهم اجعلني من التوابين و اجعلني من المتطهرين
Alhamdulillah 🩵 aap ka wazu complete ho gya, Quran hadees ke mutabiq.
Agar kahi doubt ho to zarur batayain.
Ek non muslim ka question! Ke ek mard chaar shadi kar sakta hai to ek aurat chaar mardo ke saath shadi kiyu nhi kar sakti evidence ke saath hai zarur padhain link ko type krain.

