Gusal Karne Ka Tarika aurat ka

Gusal Karne Ka Tarika aurat ka

Auraton ke Gusal Karne Ka asan Tarika


----------------------------------------------------------------------

1️⃣ Niyat (Intention) :


Sabse pehle dil me niyat karain ke main paak hone ke liye gusal kar rahi hoon


2️⃣ Bismillah:


Niyat ke baad “Bismillah” padhna.


3️⃣ Haath dhona:

Dono haath kalai tak teen martaba dhona.


4️⃣ Najasat (Naapaaki) saaf karna:

Agar badan par kahi naapaaki (najasat) lagi ho to us jagah ko ache se saaf karo.


5️⃣ Wazu karna:

Poora wazu karna jaise namaz ke liye karti hain. 

( Waise main ne pahle hi ek article upload Kiya hai bilkul asan tarika wazu karne ka padhne ke liye link ko type krain. https://sadaeqalb1.blogspot.com/2025/07/wazu-karne-ka-asan-tarika.html )

Agar pairon ko aakhir me dhona chahain to baad me bhi dho sakti hain.


6️⃣ Pani dalna:


Sar par teen martaba pani daalo, balon me pani achhi tarah pohuchana zaroori hai.

(Balon me pani jadh tak pohuchna farz hai.)


7️⃣ Pura badan dhona:

Poore badan par pani bahana, pehle daayan taraf, phir baayan taraf.
Badan ka Koi bhi hissa sukha na rahe.


8️⃣ Paaon dhona (agar baaki ho):

Agar wazu k time me pair na dhoye ho to ab paaon bhi dholo.


Finally alhamdulillah 🩵 🫶 ab aap ka gusal ho gya,
 Ab aap Quran paak, Namaz padh sakti hain..

Yahi same gusal maahwari ke time ke baad bhi karne ka hai aur jaise bhi Naapaak ho jayain nahane ka yahi tareeka hai..
Agar koi sawal ho to puchh sakti hain, chahe aap ka personal questions ho ya other.....

Post a Comment

0 Comments
* Please Don't Spam Here. All the Comments are Reviewed by Admin.